
I have started programming in Artificial Intelligence in Perl. i am not sure that it is a good idea or bad but when i have done this thing in C then why don’t in perl.
DK
1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]
3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?
4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?
[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,
ishwa = coquetry ]
6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?
[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]
7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?
[ abr = clouds ]
8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?
[ darvesh = beggar, sada = voice ]
10. jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?
haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur
One of my favorite GaZal.
aapko dekh kar dekhta reh gaya
kya kahooN aur kehne ko kya reh gaya
aate aate mera naam sa reh gaya
uske hoNthO pe kuchh kaaNpta reh gaya
woh mere saamne hi gaya aur maiN
raaste kee tarah dekhata reh gaya
jhooTh waale kahiN se kahiN baDh gaye
aur maiN thaa ke sach boltaa reh gaya
aandhiyoN ke iraade to achhe na the
ye diya kaise jalata huwa reh gaya
One of my favorite GaZal.
ishq ki dastaaN, hai pyaare
apni apni, zubaaN hai pyaare
ham zamaane se intakaam to le
ek hasiN darmiyaaN hai pyaare
tu nahi main hooN, main nahiN tu hai
ab kuchh aisaa, gumaaN hai pyaare
rakh kadam fooNk fooNk kar nadaaN
zarde zarde meiN jaan hai pyaare